Showing posts with label Dosti. Show all posts
Showing posts with label Dosti. Show all posts

Tuesday, July 3, 2012

Mehfil main kuch to sunana padta hai



Mehfil main kuch to sunana padta hai, 
Mehfil main kuch to sunana padta hai, 
Gham chupakar muskurana padta hai, 
kabhi unke hum bhi the dost, 
Aaj kal unhe yaad dilana padta hai.



Rishta banaya hai to nibhayenge,
Rishta banaya hai to nibhayenge,
Har pal aapko hasayenge-satayenge,
Pata hai aapko to fursat nahi yaad karne ki, 
Hum hi msg kr-kr ke apni yaad dilayenge.



Yun durr rehkar duriyon ko badhaya nahi karte,
Yun durr rehkar duriyon ko badhaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khayal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.

Ai mere humnashin chal kahin aur chal



Ai mere humnashin chal kahin aur chal, 
Ai mere humnashin chal kahin aur chal, 
Is chaman mein ab apna guzaara nahin, 
Baat hoti gulon tak to seh lete hum, 
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.



apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai,
apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai,
logo me ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka...
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai.



Dil Ne tere pyaar per majboor mujhe kar diya,
Dil Ne tere pyaar per majboor mujhe kar diya,
Is jahan ki har khooshi se dhoor mujhe kar diya, 
Jis qadar chaha tha dil ne paas tere aane ka, (
Us qadar dunya ne tujh ko dhoor mujh se kar diya.



Jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Jagaaya unhone aisa ke aaj tak so na sakke
Rulaaya unhone aisa ke sabke saamne ro bhi na sakke
Jaane kya baat thi unn mein….
Jabse maana unhe apna tabse kisi ke ho na sake



Mari dosti ka andaza na laga paoge,
Mari dosti ka andaza na laga paoge,
khud ko bhool jaoge magar hum ko na bhool paoge,
Ek baar hum se juda ho kar to dekho,
Qasam tumahri hamare bagair jena bhool jaoge