Monday, July 2, 2012

Jinhe dhoondte hain sapno main


Jinhe dhoondte hain sapno main

Jinhe dhoondte hain sapno main

Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai 


Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain 


Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain 

Yaad toh har koi karega jaane ke baad

Yaad toh har koi karega jaane ke baad,
sache pyar ka pata chal jaayega vaqt aane ke baad,
kaun kitni mohabbat karta hai,
nazar aajayega mar jaane ke baad,


No comments:

Post a Comment